Saturday, July 27, 2013

Pagli si baawali si main

Pagli si baawali si main

barish ki fuharon mein khelun main
dhoop aur barish ke milan mein
barati ban jaun main
aangan mein girte tip tip bundon
ke chhiton se khudko bhiga lun main
Pagli si baawali si main

chaubaare mein dabbe banakar
roz unmein kit kit khelun main
fudak fudak kar un dabbon mein
chhappar ke tukron ko bhagaun main
chhoti si khushi mein bhi
badi si khushi dhundhun main
Pagli si baawali si main

daadi ke munne wali
loriyan roz sunun main
sun sun kar loriyan
khudmein gungunaun main
bistar ke bhitar chhupkar
ghanton jaagun main
pagli si baawali si main

Maa ko har dum tang karun main
uske dukh ko harne ki
adhuri koshish karun main
papa ki laadli main
maa ki dullari main
pagli si baawali si main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...